Monday, 23 July 2012

Asloo aur Fazlu k Rozay!



Pichla waqiya guzray abhi buhat ziada arsa nae guzra tha k ghar aur ghar walon se tang aur pareshan aye huay Asloo aur Fazlu ne apne is farigh-al-tehseel daur ko ghaneemat jana aur jab kuch na mila tou “Yoo Faqeer Club” join karlia aur ab dono buhat se ilaqon me maqbool hotay gaye aur apni faqeeriyat ka jadu tamam logo par chala dia. Is kaam me unhon ne kaafi paisay kamaye aur jo thekaydaar ka hissa hota wo bhi usay dete gaye. Qismat is dafa in par kuch ziada hi meherbaan thi k na tou dono k abba ne aur na hi kisi aur rukawat ne unka rasta roka aur wo taraqqi kartey chalay gaye. Ghar par is jhansay mein phansaya hua tha k kisi azeez yaar ne kaheen nokri lagwa di hai aur ye usi par jatay hain. Abba Miyaan seedhay itnay k unhay tou bus kamayi se matlab kabhi peechay jakar dekha nae k ho kya raha hay. Ab bheek mang mang kar shaklain bhi esi miskeen ho gayeen theen k mahinay me amdani ka ratio 2000-3000 tou asani se hojata. Ghar me dete dilatay aur apni ayashiyon se bach bacha kar ab Ramzan Shareef  ki amad tak unke paas 2000 rupay bachay thay. Jese bhi hon Ramzan shareef ka roza nae chortay thay ek bhi kyun k dono ki nazar me shayed wahee ek rasta tha k jissay paisay bhi bachtay thay aur bhook bhi control me rehti thi. Khair aaj Miyaan Asloo ne Ramzan shareef ki ek to-do list banai thi, qk ab wo mazeed bheek mangna nae chah rahay thay tou uske shetani charqay me kuch aur plan chal raha tha.
  • Jhoot nae bolna.
  • Chori nae karni
  • Galat bayani nae karni
  • Gheebat nae karni
  • Kisi ka dil nae dukhana
Ab is to-do list par amal daramad unpar faqat kisi shariyat k mutabiq lagoo hogaya tha. Khair aaj ghar me ailaan hogaya tha k kal se nokri par nae jaengey aur in Ramzan shareef kuch naya karenge.
Chand nazar agaya tha aur Sehri bhi kar k ghar se dono Muhabbat Khan k dhaabay per puhanchay thay Namaz wagaira se farigh hokar neeyat-e-roza hochuki thi aur ab agay ka laah-e-amal ye tha k Fazlu ko agay k manshoor se agaah kiya jaye.
“Dekh Fazlu humaray paas ab tak taqreeban 2000 paray hain, meri Khalid se baat hui thi wo bata raha tha k uska ek banda gaon gaya hay ramzan shareef karnay tou uski rerhi (thela) khali para hay aur agar hum chahein tou uski badolat koi karobar shuru kardain, tera kya khayal hay?” Fazlu ne Asloo ki baat k jawab me hamesha ki tarhan haami bharli aur dono dupehar tak Khalid k pas puhanchay tamam maamlat tey karne k baad usay jhansay me phansa lia k rerhi k paisay wo mahinay k akhir tak de deinge aur dono rerhi lekar agay barh gaye. Ab unke pas ek rerhi, 2000 rupay aur ek tarazu tha agay unhe ye sochna tha k wo karain tou karain kya. Wahee kiya jo karsaktay thay. Teen dabbay walay ban gaye aur doosray ilaqay me ye karobar shuru kardia. Ab 10 rozay guzar gaye thay aur paisay bhi agaye thay tou unka dil phir lalchaya aur unho ne Khalid k paas jakar uski rerhi wapas kardi aur kaha k ye inke bus ka kam nae aur rozon me buhat thakka deta hay wo ye kaam kisi aur ko deday. Khalid ne buhat israr kiya k ab tou mahinay k 10 din bhi guzar gaye hain aur sath me iske paisay bhi atkay huay hain magar un dono ne ek na mani aur wahan se chaltay banay. (Kisi ka dil nae dukhana)
“Aaj Pervaiz sahib bata rahay thay k unki tabiyat kuch nasaaz hay aur rozay bhi rakh rahay hain tou kisi helper ki zururat hai dukan par tum kaho tou tumhari baat karun?” Asloo k abba ne aj kaam se wapas akar us say kaha. “Haan karlain abba magar unka ilaqa tou agay hay kafi.” “Tou tum kya chotay bachay ho?” Abba ne sawal kara. “Nae abba aap baat karlain” Asloo tayyar hogaya aur ye mumkin na tha k jahan Asloo ho wahan Fazlu na ho tou bus aj 12wain rozay par unka pehla din tha Pervaiz General Store par. Pervaiz sahib ko tou dono ne zabardast beemar bana dia aur ghar bitha dia aur ab agayi muhallay ki wahid dukaan Asloo aur Fazlu k haath me. Sub se pehla kaam tou ye kara k jo jo samaan Ramzan Shareef me kum istimal hota tha wo utha kar alag kardia aur Asloo, Khalid se jakar wahee rerhi dubara le aya. Ab Fazlu wo saman rerhi par saja kar nikal para galiyon galiyon ziada daamon me bechnay aur wahan k masoom log esi anokhi rerhi ko dekh kar qareedari bhi karlete. Whattay masoom qoum we have! 
2 din tou yahee hua aur dukaan ka tamam extra saman bikk gaya aur ab bari thi kuch paisay mila kar dukan per wo items rakhnay ki k jo ramzan shareef aur logo k dastarkhuwanon ki jaan hoti hai. Aj ghar se nikaltay huay Fazlu ko 500 ka note palang k paas se mila aur usnay Allah ki dein samajh kar apni jaib me rakh lia (Chori nae karni)
Khajooron, Pheni, Khajla, Doodh, Cheeni, Mashrubat aur deegar tamam Ramzan oriented item ab unho ne Pervaiz General Store par jama kar lie thay aur Sale k bhi baray baray ishtehaarat laga die thay aur wo ishteharat ek adad Price list k sath awezan thay. Jo kuch istarhan thi (Galat bayani nae karni)
Wahan ki masoom qoum ne 22-23 rozay tak tou khareedari kari magar jese jese Eid qareeb anay lagi unki munafa khori ki shikayat police inspector se kardi aur wo sahib aa bhi gaye karwai k liye magar raat k andheray me unse bhi tanka fit kara lia aur Bhatta dekar mamla rafa dafa kara. Ab jahan ka qanoon khuli munafa khori ki ijazat deraha ho tou wahan kon in jhamailon me paray k unhe girafttaar karwaye. Ab esi halat me k jab unka karobar khoob jam gaya tha aur Pervaiz sahib ko bhi munafay k ilawa kisi cheez se sar o kar nae tha tou kon tha jo unhe rokta? Aj 27 ki shab thi aur dono dukan band kar k masjid hi gaye thay aur ibadat karnay k bahanay ek konay me beth gaye thay. Dono apni kiye par buhat khush thay aur Allah k is karam ka shukriya ada kar rahay thay magar Allah ki laathi shayed be-awaz hay aur Ramzan shareef me tou Shetan qaid kardiya jata hay magar Eid par khul jata hay aur azaab ka na ana apke galat aamal par bhi koi khas khushi ki khabar nae, pakrayi tou zarur hoti hay aur aksar toofan k anay se pehle sannata hi hojata hay aur ye shayad wahee sannata tha ab dono bahar masjid k sehen me bethay dukaan par anay walay kum aqal logo k baray me batain karte paye gaye jo k kafi mughalizat se bharpoor theen k me yaahan likhne se qasir hun (Gheebat nae karna)
Aj Eid ul Fitr ka chand nazar agaya tha aur dono Seewaiyon aur Mehendi ki cone wagaira bech kar Pervaiz bhai se apna munafa lekar ghar ki janib chal diye. Eid ki namaz k baad masjid se apne apne ghar ja kar sustanay k baad aaj kafi din baad wo Muhabbat Khan k dhaabay par aye thay abhi dono ne Chaye mangwai hi thi k samnay se Pervaiz bhai k ilaqay k Police afsar aur saath me paros walay uncle unki janib arahay thay. Atay hi Police inspector ne sawal kiya k wahan kya loot maar macha rakhi thi dono ne aur yahan dono k bahanay shuru (Jhoot nae bolna)
Go Police inspector ne sab suna magar kisi baat par razi na huay aur dono ko pakar kar Jail me daal dia aur Asloo aur Fazlu dono sir jhukaye zameen par ek konay me beth gaye!

Sawal: Kya cheez Asloo aur Fazlu ki giraftari ka baais bani jab k unho ne tou inspector ko bhatta bhi dia tha?
Jawab: Awal tou us ilaqa makeeno ki haye, Doosri us to-do list ko na maan’na, Teesri Ramzan shareef me unke amaal aur Akhri ye k Inspector ko Ramzan Shareef ki zakat tou mil gayi magar Eid ki Eidi! :D

Note: Is light comedy se mene muashray k buhat se pehluon ko ujagar karney ki koshish ki hay, Asloo aur Fazlu jese kirdar hum sub me maujud hain jo wese tou poora saal hi humari zaat me hotay hain magar Ramzan k muqaddas mahinay mein ziada hi numayan hojatay hain.

No comments:

Post a Comment